3 Bonus Tips: Learn English Speaking on Facebook

English speaking on facebook. Ji ha aap facebook par chatting karke aap apne English speaking ko improve kar sakte hai. Aapne abhi tak English ko sikhne ke liye sirf books padhte honge par online se English spoken kiya ja sakta hai. Chaliye jaante hai.

Social Network jaise Facebook par English chatting online kaise kare. Aaj me aapko kuch aise hi baate batane ja raha hu ki jisse aap ye bhi sikh sakte hai ki kaise aap kisi se bhi English me chat kar sakte hai facebook par.

Facebook par English chatting kaise kare aaiye jaante hai.

English speaking on facebook – Improve English Speaking

Facebook ek jaani maani Social networks hai jisme croro logo ka account hai. aur yahi ek sabse bada social network hai jissne najane kitne logo se connection jod ke rakhha hai.

aise bahut saare social networks hai jissme aap account banakar apne friends bana sakte hai. par facebook ek popular social network hai.

English-speaking-on-facebook

Dosto mujhe pata hai ki aapka bhi facebook account hai toh aapka fb friend bhi hoga hi. Agar aap bhi chahte hai ki facebook par English me baat kare toh ye bahut hi achaa idea hai. jisse aap apne English ko improve kar sakte hai.

Waise ye bhi ek achaa jariya hai jaha se aap English ko aur bhi achi taraha se sikh sakte hai.

kyuki facebook me aise bahut friends milenge jisse aap unse chat kar sakte hai English me. Aur apni English ko improve kar sakte hai.

Agar aap soch rahe hai ki kaise apni English speaking ko improve kare toh ab jayda pareshaan mat hoiye kyuki ye ek jabardast trick hai jisse apni English ko sahi kar skate hai. apne friends se English me chating karke.

Facebook par English chat karke apni English ko improve kiya ja sakta hai.

Kisse Aur Kaise Online English Me Chatting Kare

Agar aap ye soch rahe hai ki facebook me kisse aur kaise English me baat kare toh isska hall me aapko bata deta hu. Jaise aapka fb friends hai.

maan lijiye ki aapka facebook me 500 friends hai. toh aap in 500 friends me se minimum 30-40 friends ko toh jaante hi honge. Toh unnse baat kariye.

In 30-40 friends me se aap pata lagaiye ki kaun English speaking achaa karta hai. agar aapko pata chal gaya ki ye ye friends English me achaa speak kar sakta hai.

toh unn se online hone ke liye boliye ya unhe follow kariye ki woh kab online hote hai. agar aap aisa karte hai toh aapko ashaani se pata chal jaayega ki woh kab online hote hai. aap bas unhe 5-6 din follow kariye.

Jab aapko pata chal gaya ki kab online aa rahe hai toh aap bhi ussi waqt online ho jaaiye. Aur unse English me chatting karna start kare.

Ye jaruri nahi hai ki kaun pahle message karta hai. issliye pahle aap hi unse “Hellooooo” type kar send kariye. Aur dheere dhere unse unka haal puchiye. Lekin unse English me hi chat karna hai.

English Nahi Aata Hai Kya Kare.

Agar aap sochte hai ki aap English achi typing nahi kar paoge toh unse frankly unse iss bare me baat kariye. Unhe openly bataiye ki aapko English sikhne ko bahut mann karta hai.

aapko English me chat karna achaa lagta hai. aap English sikhna chahte hai.

Aur aap unhe ye bataiye ki aap jitney bhi messages send karenge unn sabhi messages ka reply English me hi de. Taki aap unse English me baat kar paayenge.

Aur iss baat ka khyaal rakhte hue unse English me chat kariye ki unka messages ka reply English me hi de.

Chahe kuch bhi ho jaaye unka messages ka reply English me hi de. Isse aapka andar Ke chupe hue English words bhi bahar aayenge. Aur aap apni English ko achi taraha se improve kar skate hai. Facebook par English ko sikh bhi sakte hai.

Agar aap iss idea ko follow karte hai toh 100 % aap aise friends ke saath English me chatting kar sakte hai. isliye aap inn sabhi baato ko achi taraha se samaj kar apni pehla kadam uthaiye.

Agar aap sahi tareeke ko istemaal karte hai toh aap bhi apne social networks ke friends se English me baat kar sakte hai.

3 Bonus Tips to Learn English Speaking on Facebook

Inke sabke alewa aap facebook me iss tarah english spoken ko improve kar sakte hai. 3 Bonus tips jisse facebook par english sikhe.

1. English Speaking Group on Facebook

Yadi aap english speaking improve karna chahte hai toh aapko english speaking group ko join karna chahiye.

aise group par log apne english ko improve karne ke liye ek dusre ke madad karte rahte hai.

English Speaking Group on Facebook me aise kai member or teacher hote hai jo English me interested hote hai aur logo ki madad karte hai.

Turant facebook search box par search kare English Speaking Group aur join karke apne spoken english improve kare.

2. Follow Spoken English FB Page

Spoken English FB Page ko follow kare. aapko aise kai saare spoken english facebook page milenge jise follow karke english ko improve kar sakte.

facebook par spoken english fb page wohi log create karte hai jo achhi tarah english jaante hai. aur aise log dusre logo ko english sikhana chahte hai.

isliye spoken english fb page join or follow karne se pahle ye 3 tips follow kare.

  1. Professional page
  2. Regular updates
  3. Page contents

3. Find English Speaking Partner on Facebook

Facebook me aapko aise partner or friends search karna hai jiske saath aap facebook me english chatting kar sakte hai.

aapko aise friends bhi dhundna hai jiske saath aap mil sakte hai aur unse aamne-saamne english me baat kar sakte hai.

English speaking partner dhunde aur unse friendship kare. English speaking group me bhi aapko aise partner mil sakta hai.

I hope ki English speaking on facebook ye idea aapke liye helpful ho. mujhe nahi lagta hai ki ye sabhi ke liye helpful hai. but kuch log aise hai jinhe ye idea or tick pasand aa sakta hai.

आपको ये भी पढ़नी चाहियें 

Issi taraha tips aur tricks pane ke liye iss website ko Subscribe kariye, agar aapko iss post se releted koi bhi sawaal aapke mann me utpanna ho raha hai toh usse niche comment box me likhe. Agar aapka koi sawaal hai toh usse bhi puchiye.

यदि आपको यह जानकारी अच्छी लगे तो कृपया सोशल मीडिया पर अपने दोस्तों के साथ जैसे Facebook, Twitter या Whatsapp पर शेयर जरुर करे. नई पोस्ट की Update के लिए Subscribe करना ना भूले.

Suraj Barai EXTRA App

Explore courses, free content, PDFs, forms, ebooks, videos and more on our app, Download from google play store!

Download App

Categories