How to Improve English Speaking Skills: 13 Tips in Hindi

यदि आपको English Sikhna और  Bolna Hai तो इस लेख में ऐसे English Speaking Tips बताएँगे जिससे आप फराटेदार English में बात करना सिख जायेंगे. English में बात करने के लिए आपको English Bolna Sikhna होगा तभी आप आसानी से English में बात कर सकेंगे.

English sikhne ki tips aapko internet me mil jaayega. bahut saare aise tips aur tareeke hai jisse jaankar aap english me bolna sikh sakte hai. par kya aapne abhi tak english bol paaye hai. english sikhne ki kuch aashan tips honi chahiye jisse aap english bolna sikh sake.

Ha ye sach hai ki kisi bhi cheez ko sikhne k ek sahi takneek hona chahiye taki usse ashaani se sikha ja sake. Par kya sahi takneek ko istemaal karke English speaking sikha ja sakta hai.

agar ha toh kaise sikh sakte hai English speaking ko. Waise maine ek post likha hai jissme ye saaf saaf bataya hai ki kaise aap Bina Padhe English Ko Sikh Sakte Hai [COMING SOON].

Ji ha iss post me maine bataya hai ki aap kaise bina padhe English speaking ko ashaani se sikh sakte hai. so agar aapko interest hai English ko sikhne me toh iss post ko miss na kare jarur padhe.

English Speaking Tips and Tricks in Hindi – इंग्लिश में बात करने की टिप्स

Toh ab iss baat ko achi taraha jaante hai ki kaise aap English me baat karna sikh sakte hai? aisa kaun sa tareeka aur takneek hai jisska istemaal se English bolna ko sikha ja sakta hai. aur aisa kya takneek hai jisse 100% English speaking ko sikh sakte hai.

Chaliye der na karte hue iss post ki main topic par charcha karte hai aur English sikhne ke sahi takneek ko jaante hai. agar aap wakai me English ko sikhna chahte hai toh niche diye gaye sabhi baato ko follow karna hi padega. Matlab inn sab ko follow karna hi hai chahe kuch bhi ho jaaye.

Agar aap inn sab ko achi taraha se follow kar liya aur English speaking ko sikhna start kar diya toh 100% nahi sikh sakte hai. balki aap 200% English speaking ko sikh sakte hai aur dhada dhar bolna bhi sikh sakte hai.

isiliye inn sabko achi taraha se padhiye aur samajhiye phir sabhi ko istemaal kariye.

13 Simple Tips for Improving Your English Speaking Skills in Hindi

English speaking sikhne ke liye kaun sa best jaankari hai aur kaun sa best tips hai ye main toh nahi bata sakta hu. but itna keh sakta hu ki aapko kaun sa tareeka achaa lagta hai aur kaun sa tips aapke liye working hai bas ussi ko follow karte hue sikhte rahiye. English bolte rahiye. Niche kuch Tips hai jo aapko English bolne ke liye ek achaa raasta dikhaai dega.

#1 Mujhe English Bolna Hai. 

Iss baat ko kabhi nahi bhulna hai. agar aapko English sikhna hai toh iss baat ko kabhi mat bhuliyega. Kyuki jab tak aapke mann me ye nahi rahega toh kaise sikhenge.

#2 Kuch Naya Sikho.

Agar aapne kuch sikh liya hai pahle se hi toh achi baat hai but yaha par bataya ja raha hai ki kuch naya sikho. Isliye daily kuch na kuch naya sikhte raho.

Taki aapki speaking me aur gyaan me bhi badhoti ho. Agar aap har roj kuch naya sikhte hai toh isse aapki knowledge improve hota hai.

#3 Learn 2 Words Everyday.

Aapko har roj minimum 2 words toh sikhna hi hai. sirf 2 words nahi sikh sakte hai kya. Only 2 words. Dusre log toh English ko sikhne ke liye dictionary lekar ek page sikh raha hai. but yaha par sirf 2 words everday.

#4 Write Something.

Sone se pahle ji ha roj sone se pahle ek copy me kuch bhi topic ke bare me likhiye. Yaha par ye nahi ki aapko 50 words ya 500 words ko likhe ke liye bol raha hai. balki jitna aap jaante hai.

jaise – aaj 2 line likh diya kisi topic me. Ya kal 5 line likh diya, parso 3 line likh diya. Har roj topic change karo. Aur jayda se jayda likhe ki koshish karo.

#5 Read English

Agar aap wakai me English ko fluently sikhna chahte hai toh English ko padhna hi hoga. Jise English ko padhna achaa nahi lagta hai usse English ko sikha aur bhi kathin ho jaayega.

Isliye har roj English ko padho. Jaise – books, newspaper, Grammar, English story, Dictionary, aur chote chote bachho ke books ko jarur padhe.

#6 Must Read These

jaise class-1 , class-2, nursery, KG-1, KG-2 inn sabhi ke books ko collection kare aur padhiye isse bahut kuch sikhne ko milta hai. kyuki inn sab ki books me image ke saath likha rahta hai jisse padh kar aur images ko dekh kar ashaani se samjha ja sakta hai.

isse padh kar aap jaldi English sikh sakte hai kyuki iss books me easy easy hota hai sab kuch.

#7 Baat Kare Dusro Se.

ye nahi ki Sabhi baato ko follow karke sikh liya. Bahut saare words bhi sikh liya, aur koi kuch English me bole toh usska reply man hi mann me de.

Agar itna sab ho jata hai toh bolte kyu nahi hai. boliye chahe jo bhi ho jaaye. Baat toh karna hi kyuki baato hi baato se sikha ja sakta hai.

#8 Sharmana Mat.

Kuch log hai ki bahut sharmaate hai kehte hai ki saamne wala kya bolega. Who kya sochega, agar kuch wrong ho gaya toh ! toh mere dost inn sabhi ko ignore karo aur abhi se bolo chahe jo bhi soche.

Ha agar kahi par atak gaya toh hindi hai na usse fill kar denge. Lekin bolna hai.

#9 Kuch Bhi Ho Jaaye.

kuch bhi ho jaaye English toh bolna hai. agar ye baat hai toh aap ko koi nahi rok sakta hai English sikhne me. Isliye kuch bhi ho aapko English sikhna hai aur sikhna hi hai.

#10 Aas Paas Ke Log

Agar aap sahi me English sikhna chahte hai toh aapke aas paas ke log kuch different hona chahiye jo aapko English bolne me madad kar sake.

Ab aisa nahi hai ki aapke pados me jitney log hai sab English jaante hai agar jaante bhi hai toh thik hai warna aap kuch aisa aapke mahol banaiye jaise woha par jaydatar English me baat kiya jaaye.

Matlab aapko kuch aisa mahole me rahna hai jaha par sab English me hi baat karte ho. Agar aap iss tarah ke mahol me rahte hai toh bahut jaldi English ko sikh sakte hai.

Kyuki aise mahol me sab English me baat karenge aur iss beach me aap bhi unn sabhi ke saath English bolna shuru kardenge warna sikhna bahut muskil ho jaaayega.

English Ke Liye, “English Mahool Hona Jaruri Hai ! ”

#11 Family Aur Friends

sabse jayda aap innhi dono ke saath milte hai aur rahte hai woh hai Family aur Friends, toh English sikhne me ye aapko sabse jayda help kar sakta hai.

Agar kisiko English bolna sikhna hai toh iss point ko sabse pahle pakadna hai aur use apni aur prayaas karna hai. Agar iss point ko achi tarah se istemaal kiya jaaye toh English bolna aapse jayda dur nahi hai.

Aap apne family ke saath English me baat kare. Unhe bataiye ki aap English sikhna chahte hai so aaj se English me baat kare.

Ek baat aap note kariye ki sabse jayda aap apne family ke saath hi rahte hai aur unhe ke saath baat bhi karte hai. agar English bolte samay kuch wrong bhi hua toh kuch sarmane ki bhi baat nahi hai. Bina sarmaya aur bina dare aap unh ke saath baat kar sakte hai.

Friends se bhi ussi tarah baat kariye. English speaking ke liye sabse jayda kya karna hai? Isska answer hai ki Bolna hai. Aap jitna bolenge utna sikhenge jo nahi bolta hai woh kabhi English nahi sikh sakta hai isliye family aur friends ke saath English me bolkar English ko sikhna hai.

“ English Bolna Sikhne Ke Liye, Aapko English Me Bolna Hi Hai !”

#12 Bolne Ki Lalach 

English spoken ke liye aapko hamesha English me bolne ki chah honi chahiye, English me baat karne ke liye ek lalach honi chahiye.

Agar ye sab hai toh sikhna ashaan hota hai kyuki maine kuch logo ko dekha hai aur abhi bhi dekhta hu ki unhe English ka jayda knowledge nahi hai but phir bhi English me baat karna shuru kar dete hai aur thoda bahut bol bhi lete hai. Toh isska matlab yahi hua ki sirf knowledge hi jaruri nahi hai usske liye bolne ki lalach hona chahiye.

Iss tarah ke log kya karte hai ki bas ek chota sa point dhundte hai ki woha shuru kar de English me bolna. Jab aisa kuch milta hai toh turant apni conversation ko English bhasa me badal dete hai aur English me baat karne lagta hai.

Isliye hamesha English me baat karne ki lalach hona jaruri hai tabhi toh aap kisi ke saath bhi English me bol paayenge. Are thoda hi sahi ya ek line hi sahi kuch toh bolna hai.

Aap English Bolna Shuru Toh Kariye…., “English Me Baat Karne Wala Bahut Log Hai”

#13 Thinking Language 

Ji ha aap jo bolte hai woh kaunsi bhasa hai. Aap kaun si language me baat karte hai. Me maan leta hu Hindi toh aap hindi me sochte bhi honge.

Aapka jo Mother Language hai aap ussi bhasa me sochte hai isliye aab aap apne thinking language ko badalne ki koshish kariye aur apni soch ko bhi English soch bana dijiye. Yani ki English me sochna shuru kar dijiye.

Jab aap man hi mann English me sochne lagenge toh isska matlab hoga ki aap English sikh rahe hai aur jald hi sikh bhi jaayenge. Kyuki ye tabhi possible hota hai jab kisi ko English ke bare me kuch knowledge hota hai.

Sirf juban se English bolna sikh liya toh nahi hua aapko apne soch ko bhi English me hi sochna hai. Aur jissne apni soch ko English language me soch liya hai woh kareeb English bolna 40 % sikh liya hai.

At Last

English kaise bole aur English speaking tips ki iss article main maine kuch aise baate bataye hai jisse bolna ashaan ka jaisa lagta hai lekin itna hard bhi nahi hai ki impossible ka jaisa lage isliye agar thodi sachi lagan ke saath ek baar try kare toh impossible kuch bhi nahi hai.

Agar aapko ye English Bolna or English speaking tips article padhkar achaa laga aur yaha se kuch bhi jaankari aapko jaan kar kuch sikhne ko mila hai toh please iss website ko subscribe kariye aur apna comment niche comment box me de. I hope ki aapko ye jaankari achaa laga hai.

यदि आपको यह जानकारी अच्छी लगे तो कृपया सोशल मीडिया पर अपने दोस्तों के साथ जैसे Facebook, Twitter या Whatsapp पर शेयर जरुर करे. नई पोस्ट की Update के लिए Subscribe करना ना भूले.

Comments are closed.

Suraj Barai EXTRA App

Explore courses, free content, PDFs, forms, ebooks, videos and more on our app, Download from google play store!

Download App

Categories