Headmaster Ke Pass Ek Application Kaise Likhe Woh Bhi English Me

Kya aap likhna chahte hai headmaster ke paas application woh bhi english me. Ek application kaise likhe english me headmaster ke pass. How to write an application in English.

Write an application requesting leave after 3rd period for illness. Patta likhna sikha english me. Principal ke pass ek application likhe school se chutti lene ke liye.

Agar aap school ya college me study kar rahe hai toh aapko jarur pata hoga ki school se chutti lene ke liye Headmaster ke pass ek application dena padhta hai usske baad hi chutti mil pata hai.

Application ke dwara hume ghar jaane ki permission mil jata hai. Agar aap bhi chahte hai ki aap apne school ya college se chutti lekar ghar chala jaaye toh usske liye headmaster/principal ke pass application likhna padega usske baad hi leave hone ki permission milega.

Jab Hum school ya college me study karte hai toh achanak se kuch health problem aa jata hai jaise bukhar aana, sar dard karna, chakkar aana, aise waqt ghar chale jana hi achha hota hai.

Par isske liye application likhna padhta hai. Toh ab ghabraiye mat sikha application kaise likhta hai english me. Learn application likhna. Ji haa hindi me sikhiye kaise letter likhte hai.

Q. Write an application to the head master / head mistress / principal requesting leave after 3rd period for illness?

Ye question hai iska matlab hai ki ek application likhe apne head master ya principal ke pass 3rd period ke baad school ya college se ghar jaane ke liye. Lekin ek reason dekhna padhta hai ki aap ki kya problem hai ki aap leave hona chahte hai.

Headmaster Ke Pass Ek Application Kaise Likhe Woh Bhi English Me How To Write An Application To Headmaster

Toh chaliye sikhte hai ki head master ke pass application kaise likhte hai chutti lene ke liye.

Write application to your Headmaster.

Ans. –

To, date:…….

The Headmaster / Headmistress / Principal.
Public Higher Secondary School,[Address]

Sub: Prayer for leave after 3rd period for my illness.

Respected Sir / Madam.
With due respect I inform you that I have been suffering from Headache & fever for last one hour, while I am being unable to attend in class for the next periods due to physical weakness & illness.

So I request you to consider & grant my prayer on your sympathy. Thanking.

Yours faithfully
Suraj Barai
Roll no. –
Class -………… Section -………………
School -…………………………………………

Ye rahe application headmaster se chutti lene ke liye ab me aapko bataunga ki iss application ko aap apne kaam me kaise laga sakte hai. Kaise iss application ko likh kar school ya college se chutti le sakte hai.

leave letter in hindi for school – school chutti ke liye application in hindi

Sabse pahle application ke starting me To Hai usske baad hai The Headmaster / Headmistress / Principal. Inn teeno me se kisi ek ko istemaal karna hai jaise

The Headmaster (male/female)
The Principal (male/female)
The Headmistress (female)

Aise kisi ek ko likhna hai phir niche hai school ka naam woha par aapko apne school ya college ka naam dena hai dhyaan rahe ki end me address bhi dena hai short me.

Sub: ji ye sabse ahem hissa hai yaha par likhna hai ki aap application ki baare me likh rahe hai. Uppar application me dekhiye maine kya likha hai.

Respected ke saath sir ya madam rahega iska matlab hai agar principal Male hai toh Respected Sir dijiye aur agar madam hai toh Respected Madam dijiye.

Usske baad maine underline me diya hai Taki aap samaj sake yaha par aapko kya hua hai ye likhna hai jaise sar dard hai toh Headache likhna padega, agar Pet dard hai toh stomach pain aise hi aapki problem ko likhna padega.

Agle underline me likha hua hai last one hour yaha par iss line ka matlab hua ki aapko kab se ye problem ho raha hai ye likhna hai. Jaise iss application me likha gaya hai ki pichhle ek ghante se.

Ab niche apna naam roll no class section sab likh de aur principal ke pass dedijiye aapko chutti ki manjuri mil jaayega aur aap ghar ke liye nikal sakte hai.

निष्कर्ष

Headmaster ke paas application likhkar kaise chutti le sakte hai. Chutti ki application hindi me hai or leave letter in hindi for school achaa lage to apne dosto ke saath share kare.

आपको ये भी पढ़नी चाहियें 

यदि आपको यह जानकारी अच्छी लगे तो कृपया सोशल मीडिया पर अपने दोस्तों के साथ जैसे Facebook, Twitter या Whatsapp पर शेयर जरुर करे. नई पोस्ट की Update के लिए Subscribe करना ना भूले.

Comments are closed.

Suraj Barai EXTRA App

Explore courses, free content, PDFs, forms, ebooks, videos and more on our app, Download from google play store!

Download App

Categories